jab lagen zakhm to qatil ko dua di jae hai yahi rasm to ye rasm utha di jae dil ka wo haal hua hai gham-e-dauran ke tale jaise ek lash chatanon mein daba di jae inhin gul-rang darichon se sahar jhankegi kyun na khilte hue zakhmon ko dua di jae kam nahin nashshe mein jade ki gulabi raaten aur agar teri jawani bhi mila di jae hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya chand lafzon mein koi aag chhupa di jae