main zamane mein hun lekin ye zamana tera hath mera hai lutata hai khazana tera tir tera hai kaman teri nishana tera dam mera hai tah-e-dam hai dana tera daere sab ne aqaed ke bana rakkhe hain warna makhsus nahin koi thikana tera jo bhi sunta hai wo unwan naya deta hai gasht karta hai zamane mein fasana tera tez chalti rahi tanqid-o-siyasat ki hawa gard-alud hawa aaina-khana tera ham-nawa kis ko banaun kise hamraaz karun main akela hun zamane ka zamana tera