jab main na hun to shahr mein mujh sa koi to ho diwar-e-zindagi mein daricha koi to ho ek pal kisi darakht ke sae mein sans le sare nagar mein jaanne wala koi to ho dekhe ajib rang mein tanha har ek zat in gahre paniyon mein utarta koi to ho dhundoge jis ko dil se wo mil jaega zarur aaenge log aap tamasha koi to ho phir koi shakl baam pe aae nazar kahin phir rahguzr-e-am mein ruswa koi to ho koi to aarzu-e-farozan sambhaal rakh han apne sar pe qarz-e-tamanna koi to ho har-dam ilaj-e-mehr-o-wafa dhundte raho is tirgi mein ghar ka ujala koi to ho 'nahid' bandishon mein muqayyad hai zindagi jaen hazar bar bulawa koi to ho