jab main roya hun wo roe hain ye ulfat mere sath muddaton barsa kiya hai abr-e-rahmat mere sath jaan jae yar hai dil ko rahega pas-e-ishq qabr mein jaenge tere raaz-e-ulfat mere sath deti hai targhib nale ki ki har aazurda-dost dushmani karti hai ab meri mohabbat mere sath main to hun dil-dada-e-ulfat kaho main kya karun dil-ruba ho kar karo tum jab ye ulfat mere sath shakl teri samne aankhon ke hai aathon-pahar yaad teri hai sharik-e-ranj-o-rahat mere sath ban gaya betab dil ek mahsharistan-e-khayal khwab mein jab wo hue sargarm-e-ulfat mere sath yaad ab bhule se bhi subh-e-watan aati nahin ho gai manus aisi sham-e-ghurbat mere sath dil mein dhadkan lab pe nale chashm-e-tar mein ashk-e-khun kya kahun kya kar gai teri mohabbat mere sath yaad aata hai ye raftar-e-qamar ko dekh kar sair karta tha yun hi wo mah-talat mere sath tu hai aur teri nazar mein ek qayamat ka ghurur main hun aur ek mahshar-e-arman-o-hasrat mere sath wo to rukhsat kar ke mujh ko ghar mein ja baithe magar yaad un ki dur tak aai thi 'shaukat' mere sath