ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye

ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye
kahan se laun siraj-e-munir ghar ke liye

talab ki rah salamat maqam-e-shauq bahut
takallufat zaruri nahin safar ke liye

jamal-e-yar saza-war-e-jiht-e-khas nahin
ajib marhala dar-pesh hai nazar ke liye

gharib-e-shahr-e-tamanna asir-e-dam-e-firaq
tadap raha hai sar-e-jada ham-safar ke liye

basirat-e-lab-o-lahja na zindagi ka shuur
qarar bhi hai zaruri dil o nazar ke liye

nashat ka rukh-e-raushan dikha gai shab-e-gham
dua ko hath uthaya tha main sahar ke liye

fughan ki jis ne zamane ko raushni bakhshi
charagh dhund raha hai khud apne ghar ke liye

hayat daftar-e-takhliq bhi hai ai 'shatir'
hayat ek muamma bhi hai bashar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close