jab majma-e-khuban hota hai diwane bahut ho jate hain jab shama-e-tajalli raushan ho parwane bahut ho jate hain parwane tut ke girte hain parwane bahut ho jate hain jab chand gahan se khulta hai diwane bahut ho jate hain kahte hue main kuchh darta hun rudad-e-mohabbat ko apni duniya-e-mohabbat mein aise afsane bahut ho jate hain kyon husn pe wo maghrur na hon is husn-e-jawani mein apni diwanon ki parwa kaun kare diwane bahut ho jate hain har samt ghata chha jati hai har shai se barasti hai masti jab abr-e-karam chha jata hai mastane bahut ho jate hain mai-kash ke liye shisha na sahi saghar na sahi mina na sahi pine ka irada jab kar le paimane bahut ho jate hain aaraish-e-mahfil ho ki na ho saman-e-tarab kuchh ho ki na ho jab sham-e-mohabbat jalti hai parwane bahut ho jate hain jab kali ghataen chhati hain aur jam ko gardish hoti hai pine ke liye maikhane mein mastane bahut ho jate hain ai josh-e-junun wo haal bata wo dekh ke wahshi khud hi kahen kahne ke liye to ulfat mein diwane bahut ho jate hain wo pahlu mein jis dam hote hain ek be-khudi tari hoti hai kya haal kahen is haal se hum begane bahut ho jate hain hum is ki haqiqat ko ab tak aasan samajhte the lekin ai 'raaz' ye raaz-e-husn hai kya diwane bahut ho jate hain