sarmaya-e-jaan hain shah-e-abrar ki baaten kis darja sukun deti hain sarkar ki baaten karte hain karam sab pe ki aadat hai ye un ki sunte hain wafadar-o-khata-kar ki baaten han kaise hain wo kucha-o-bazar wo galiyan kuchh aur karo shahr-e-pur-anwar ki baaten han kaise barasta hai wahan nur ka baadal kuchh aur karo gumbad-e-zau-bar ki baaten han kaise ghubar-e-dil-o-jaan dhulta hai zaer kuchh aur karo abr-e-guhar-bar ki baaten han kaise wahan chalti hain tham tham ke hawaen kuchh aur machalti hui mahkar ki baaten ji chahe ki har aan sunun zikr-e-payambar hoti rahen kaunain ke sardar ki baaten