jab mera ghar bahisht si gul-wadiyon mein tha us waqt main ghira hua shahzadiyon mein tha wo din hawa hue wo zamane guzar gae bande ka jab qayam pari-zadiyon mein tha yak bar jo ujad gae baste hue nagar lagta hai koi bhut bhi in wadiyon mein tha baitha tha jis pe main ne wahi shakh kat di khud mera hath hi meri barbaadiyon mein tha sad shukr hai ki mujh pe nigah-e-karam padi kab se udas baitha main fariyaadiyon mein tha apne banae jal mein khud phans ke rah gaya masruf mera yar jo ustadiyon mein tha 'hasrat' zara si bhul hamein qaid kar gai wo lutf ab kahan hai jo aazadiyon mein tha