meri sansen sham ki bhigi hawa mein khul gain band ki aankhen to mazi ki kitaben khul gain wo jo bachpan mein banai thi kabhi diwar par ab ki barish mein wo taswiren bhi sari dhul gain kar gain maujen shararat jab bhi likkha tera nam ret par jitni lakiren thin wo mil-jul gain band aankhon mein sunahre khwab thahre the magar khwab jab pahunche haqiqat tak to aankhen khul gain