jab mere ghar ke pas kahin bhi nagar na tha to is tarah ka rah mein lutne ka dar na tha jangal mein jangalon ki tarah ka safar na tha surat mein aadmi ki koi jaanwar na tha aansu sa gir ke aankh se main sochta raha itna to apne-ap se main be-khabar na tha ek bar khud ko ghaur se dekha to ye mila main sirf ek dhad tha mere dhad pe sar na tha honton pe aai aur 'kunwar' kanpti rahi ek baat jis ka dil pe koi bhi asar na tha