bayan apna dukh ab kiya jae na bayan ke bina bhi jiya jae na masarrat mile dekhne ki use tasawwur bhi jis ka kiya jae na kahan hai tu ai muntazir marg-e-man ki ab mujh se tujh bin jiya jae na bahut zakhm khae meri aankh ne darida ye manzar siya jae na qadam chumti hai zamin meri 'shah' magar mujh se badla diya jae na