jab munderon pe parindon ki kumak jari thi lafz the lafzon mein ehsas ki sardari thi ab jo lauta hun to pahchan nahin hoti hai kahan diwar thi diwar mein almari thi wo haweli bhi saheli thi paheli jaisi jis ki inton mein mere khwab the khuddari thi aakhiri bar main kab us se mila yaad nahin bas yahi yaad hai ek sham bahut bhaari thi puchhta phirta hun galiyon mein koi hai koi hai ye wo galiyan hain jahan log the sarshaari thi ped the chand makanon mein zamanon jaise jin ki chhanw mein meri ruh ki lu jari thi kya bhale din the hamein khel tha hansna rona sans lena bhi hamein jaise adakari thi bas koi khwab tha aur khwab ke pas-manzar mein bagh tha phul the khushbu ki numudari thi hum ne dekha tha use ujle dinon mein 'hammad' jin dinon nind thi aur nind mein bedari thi