jis ki saundhi saundhi khushbu aangan aangan palti thi us mitti ka bojh uthate jism ki mitti galti thi jis ko tap ke garm lihafon mein bachche so jate the dil ke chulhe mein har dam wo aag barabar jalti thi garm do-pahron mein jalte sehnon mein jhadu dete the jin budhe hathon se pak kar roti phul mein dhalti thi kisi kahani mein virani mein jab dil ghabraata tha kisi aziz dua ki khushbu sath hamare chalti thi gard udate zard bagule dar par dastak dete the aur khasta-diwaron ki pal bhar mein shakl badalti thi khushk khajur ke patton se jab nind ka bistar sajta tha khwab-nagar ki shahzadi galiyon mein aan nikalti thi din aata tha aur sine mein sham ka khaka banta tha sham aati thi aur jismon mein sham bhi aakhir dhalti thi