jab na tab laDne hi ko tayyar ho

jab na tab ladne hi ko tayyar ho
khush raho sahib agar bezar ho

kahte hain sab yar se kah haal-e-dil
chup rahun kyon gar lab-e-izhaar ho

sooge yaran-e-rafta kab talak
aaj roz-e-hashr hai bedar ho

itne sin mein ye shararat hai ghazab
ho to ladke par bade ayyar ho

kis tarah tadpe na wo teri nigah
tir si jis ke jigar ke par ho

khak dekhe lala-o-gul ki taraf
yar ka jo talib-e-didar ho

karwan-e-umr ka hai jald kuch
waqt ghaflat ka nahin bedar ho

gar nahin manzur hai marna mera
is qadar kyon dar-pa-e-azar ho

haal apna qabil-e-guftan nahin
kahiye us se jab koi gham-khwar ho

ek aalam gharq ho lohu mein gar
auj-e-mauj-e-dida-e-khun-bar ho

kya uruj-e-ishq hai 'nami' ki jab
dar par sar hoe tab sardar ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close