jin se maqsud hain manzil ke nishanat mujhe bhulte jate hain wo sare ishaaraat mujhe rah-e-irfan mein bhatke hain kuchh aise donon main use dhundhta hun aur meri zat mujhe un ke dar se kai raaten meri be-khwab rahin dhundhti phirti hain khwabon mein jo aafat mujhe dusron ke liye wafir hain mere pas jawab kitne mushkil hain magar apne sawalat mujhe yahin raushan hai kisi ek kharabe mein charagh ek zara rah dikha de ye siyah raat mujhe chhin leta hai kabhi mere mahasin 'betab' bakhsh deta hai kabhi apni karamat mujhe