jab naz-e-ishq husn ke qabil nahin raha

jab naz-e-ishq husn ke qabil nahin raha
phir wo kuchh aur hi hai mera dil nahin raha

kahti hai dil ke haal pe ghabra ke be-khudi
ye aap mein bhi aane ke qabil nahin raha

ek jalwa pesh pesh hai aur badh rahe hain hum
ab kuchh khayal-e-duri-e-manzil nahin raha

duniya yahi hai shak hai to is ko mita ke dekh
phir kuchh nahin jahan mein jab dil nahin raha

puri jaza milegi isi dil ko hashr mein
jis ko khayal-e-shikwa-e-qatil nahin raha

tamkin ghazab hai saqi-e-daur-e-alast mein
shayad khayal-e-garmi-e-mahfil nahin raha

duniya se puchh dekh koi zarra dahr ka
tazin-e-kaenat se ghafil nahin raha

zinat pe kaenat ki jaane lagi nazar
ab main tere khayal ke qabil nahin raha

bas kar ujad chuki hain umangon ki bastiyan
duniya mein shad aaj koi dil nahin raha

afsurdagi ki jaan hai aazurdagi ki ruh
jo walwalon ki jaan tha wo dil nahin raha

hai kal ki baat tha yahi duniya-e-husn-o-ishq
virana-e-malal hai ab dil nahin raha

'bekhud' kisi ke naz-e-dui-soz ki qasam
kaisi nazar khayal bhi hail nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close