jab nigahen ladin nigahon se aandhiyan utthin dil ki rahon se jurm sabit na ho to jurm nahin qatl karte raho nigahon se hum ne tufan pal rakkhe hain apne ashkon se apni aahon se apne jalwon ko dekhne ke liye khud ko dekho meri nigahon se gard-e-rah ka bhi ehtiram karo us ko nisbat hai baadshahon se is tarah samne wo aate hain dekha jata nahin nigahon se teri rahmat ko rakh ke madd-e-nazar dil ko bahla liya gunahon se wahi dil ke qarib rahte hain dur rahte hain jo nigahon se jab se dhoke diye hain dil ne mujhe bach ke rahta hun khair-khwahon se zarra zarra mahak utha hai jigar kaun guzra hai dil ki rahon se