khushi se jhumti phirti hai aur phir muskuraati hai meri taza ghazal wo yaad kar ke gungunati hai tumhein cigarette se nafrat hai to ye kyon bhul baithe tum tumhein jis se mohabbat hai use cigarette bachati hai nahin malum mera hafiza kis samt rahta hai magar wo yaad rakhti hai janam din tak manati hai use bujhte diyon se itni uljhan hai ki mat puchho koi jo ladkhada jae use fauran jalati hai kitaben chikhne lagti hain jab wo pas se guzre inhen wo chum ke rakhti hai sine se lagati hai zahin itni hai us se bahs to hum kar nahin sakte mujhe manto ke afsane bila-nagha sunati hai