yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai sawal karte hain dasht-o-dariya ki qafile ka waqar kya hai jo chal pade jada-e-wafa par unhen gham-e-rozgar kya hai saubaton ke pahad kya hain tamazaton ka ghubar kya hai yahin pe manzil karenge rahi yahin pe sab qafile rukenge thahar zara shauq-e-sabr dushman ye dard be-ikhtiyar kya hai nasib-e-farda pe shadman hain junun ke maron se koi puchhe ye kyun gireban hai tukde tukde ye daman-e-tar tar kya hai na un ka jada na koi manzil na nur-o-zulmat ka farq jaanen unhen khabar kya ki hai sahar kya andheri shab ka khumar kya hai