jab purab mein nil ambar par ek kafuri phul khila raat guzarne ke gham mein taron ne hira chat liya lok parlok pe phail rahi hai yaadon ki chanchal khushbu dhyan ke thahre sagar mein kis ne phir kankar phenk diya us ke narm madhur bolon ne dil par chhawni chhai thi ya tapti sukhi dharti par chhajon hi meinh barsa tha jal wahi hai amrit jal jis se janm janm ki pyas bujhe chahe wo pachchhim ka 'thames' ho chahe wo purab ki ganga kya jaane kya baat thi lekin hum jab pahli bar mile wo bhi khadi rahi gum-sum si aur main bhi chup chap raha jab bhi 'tur' use dhundne ko gahre banon mein jata hun ek aawaz ye kahti hai mujh se murakh ghar ko wapas ja