jaane tu kya dhundh raha hai basti mein virane mein laila to ai qais milegi dil ke daulat-khane mein janam janam ke saton dukh hain us ke mathe par tahrir apna aap mitana hoga ye tahrir mitane mein mahfil mein us shakhs ke hote kaif kahan se aata hai paimane se aankhon mein ya aankhon se paimane mein kis ka kis ka haal sunaya tu ne ai afsana-go hum ne ek tujhi ko dhunda is sare afsane mein is basti mein itne ghar the itne chehre itne log aur kisi ke dar pe na pahuncha aisa hosh diwane mein