jab pursish-e-haal wo farmate hain jaaniye kya ho jata hai kuchh yun bhi zaban nahin khulti kuchh dard siwa ho jata hai ab khair se un ki bazm ka itna rang to badla mere baad jab nam mera aa jata hai kuchh zikr-e-wafa ho jata hai yakta-e-zamana hone par sahab ye ghurur khudai ka sab kuchh ho magar khakam-ba-dahan kya koi khuda ho jata hai qatra qatra rahta hai dariya se juda rah sakne tak jo tab-e-judai la na sake wo qatra fana ho jata hai phir dil se 'fani' sare ke sare naqsh-e-jafa mit jate hain jis waqt wo zalim samne aa kar jaan-e-haya ho jata hai