kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi na kisi ka daman-e-chaak tha na kisi ki tarf-e-kulah thi kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palat gae na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi dil-e-kam-alam pe wo kaifiyat ki thahar sake na guzar sake na hazar hi rahat-e-ruh tha na safar mein ramish rah thi mere chaar-dang thi jalwagar wahi lazzat-e-talab-e-sahar magar ek ummid-e-shikasta-par ki misal-e-dard siyah thi wo jo raat mujh ko bade adab se salam kar ke chala gaya use kya khabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi