jab raat ke sine mein utarna hai to yaro behtar hai kisi chand ko shishe mein utaro diwar pighalti hai jhulas jate hain sae ye dhup nigahon ki bahut tez hai yaro parchhaiyan pujenge kahan tak ye pujari apnao koi jism koi rup to dhaaro khud ahl-e-qalam is mein kai rang bharenge tum zehn ke parde pe koi naqsh ubhaaro tum waqt ki dahliz pe dam tod rahe ho main bhagta lamha hun mujhe tum na pukaro haalat ye kahte hain ki tum zinda rahoge palkon pe larazte hue khush-bakht sitaro