tujh ko pane ke liye khud se guzar tak jaun aisi jine ki tamanna hai ki mar tak jaun ab na shishon pe girun aur na shajar tak jaun main hun patthar to kisi dast-e-hunar tak jaun ek dhundlaka hun zara der mein chhat jaunga main koi raat nahin hun jo sahar tak jaun jis ke qadmon ke qasidon se hi fursat na mile kaise us shakhs ki tazim-e-nazar tak jaun ghar ne sahra mein mujhe chhod diya tha la kar ab ho sahra ki ijazat to main ghar tak jaun apne mazlum labon par jo wo rakh le mujh ko aah ban kar main duaon ke asar tak jaun ai meri rah koi rah dikha de mujh ko dhup odhun ki tah-e-shakh-e-shajar tak jaun