jab raat suhani hoti hai aur raqs mein tare hote hain

jab raat suhani hoti hai aur raqs mein tare hote hain
us waqt mohabbat ke lamhe kuchh aur bhi pyare hote hain

kuchh khud se lipat kar rote hain kuchh rote hain auron ke gham mein
wo dard ke mare hote hain ye zarf ke mare hote hain

ek aisi manzil aati hai ehsas ke nazuk lamhon mein
jab dekhne wala koi na ho be-tab nazare hote hain

jab dasht-nawardi ke bais kuchh zauq-e-safar badh jata hai
duzdida nigahen uthti hain nadida ishaare hote hain

sach kahna zaban se mushkil hai sach likhna qalam se na-mumkin
izhaar-e-sadaqat khel nahin lafzon mein sharare hote hain

girdab mein aa jata hai 'ziya' jab koi safina qismat se
maujon mein talatum hota hai aur dur kinare hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close