karam-e-fitrat-e-ahbab wahi hai ki jo tha

karam-e-fitrat-e-ahbab wahi hai ki jo tha
yani haal-e-dil-e-betab wahi hai ki jo tha

raunaq-e-shahr meri aankhon se dekho logo
ek virana pas-e-khwab wahi hai ki jo tha

barha chheda hai saz-e-rag-e-jaan ko phir bhi
dil se ek rishta-e-mizrab wahi hai ki jo tha

ashk-e-ulfat ko hiqarat se na dekho ki ye ashk
aaj bhi gauhar-e-nayab wahi hai ki jo tha

yun to har tarah masail mein izafa hai magar
qissa-e-mimbar-o-mehrab wahi hai ki jo tha

takiya-e-khak-e-qanaat hai idhar aur udhar
bistar-e-atlas-o-kamkhab wahi hai ki jo tha

lakh taskin ke saman mayassar hain 'ziya'
aalam-e-dida-e-be-khwab wahi hai ki jo tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close