jab rone baithta hun tab kya kasar rahe hai rumal do do din tak jun abr tar rahe hai aah-e-sahar ki meri barchhi ke waswase se khurshid ke munh upar aksar sipar rahe hai aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-rawish se aane mein us ke lekin kis ko khabar rahe hai un rozon itni ghaflat achchhi nahin idhar se ab iztirab hum ko do do pahr rahe hai aab-e-hayat ki si sari rawish hai us ki par jab wo uth chale hai ek aadh mar rahe hai talwar ab laga hai be-dol pas rakhne khun aaj kal kisu ka wo shokh kar rahe hai dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko tab se udhar hi aksar meri nazar rahe hai aakhir kahan talak hum ek roz ho chukenge barson se wada-e-shab har subh par rahe hai 'mir' ab bahaar aai sahra mein chal junun kar koi bhi fasl-e-gul mein nadan ghar rahe hai