nafas na anjuman-e-arzu se bahar khinch agar sharab nahin intizar-e-saghar khinch kamal-e-garmi-e-sai-e-talash-e-did na puchh ba-rang-e-khar mere aaine se jauhar khinch tujhe bahana-e-rahat hai intizar ai dil kiya hai kis ne ishaara ki naz-e-bistar khinch teri taraf hai ba-hasrat nazara-e-nargis ba-kori-e-dil-o-chashm-e-raqib saghar khinch ba-nim-ghamza ada kar haq-e-wadiat-e-naz niyam-e-parda-e-zakhm-e-jigar se khanjar khinch mere qadah mein hai sahba-e-atish-e-pinhan ba-ru-e-sufra kabab-e-dil-e-samandar khinch na kah ki taqat-e-ruswai-e-visal nahin agar yahi araq-e-fitna hai mukarrar khinch junun-e-aina mushtaq-e-yak-tamasha hai hamare safhe pe baal-e-pari se mistar khinch khumar-e-minnat-e-saqi agar yahi hai 'asad' dil-e-gudakhta ke mai-kade mein saghar khinch