jab samne ki baat hi uljhi hui mile phir dur dekhti hui aankhon se bhi ho kya hathon se chhu ke pahle ujala karen talash jab raushni na ho to nigahon se bhi ho kya hairat-zada se rahte hain apne madar par us ke alawa chand sitaron se bhi ho kya pagal na ho to aur ye pani bhi kya kare wahshi na hon to aur hawaon se bhi ho kya jab dekhne lage koi chizon ke us taraf aankhen bhi teri kya karen baaton se bhi ho kya yun to mujhe bhi shikwa hai un se magar 'malal' haalat is tarah ke hain logon se bhi ho kya