jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka phans ki tarah khatakta hai jigar mein tinka neza-bazi pe hamein apni na dhamka ai turk hum samajhte hain ise apni nazar mein tinka aatish nala-e-bulbul ye chaman mein bhadki na bacha nam ko sayyaad ke ghar mein tinka khar-e-mizhgan ko nazar bhar ke na dekha main ne pad gaya ud ke mere dida-e-tar mein tinka sun ke aamad teri aaankhon se utha lete hain dekhte hain jo pada rahguzar mein tinka gird us bahr-e-safa ke main phira karta hun rahta hai gardi mein jis tarah bhanwar mein tinka aah-e-sozan ne jalae tere jangal 'sayyah' nam ko bhi na raha ek shajar mein tinka