zindagi teri talab thi to zamane dekhe

zindagi teri talab thi to zamane dekhe
marte marte kai jine ke bahane dekhe

hausla tha ya karam ho ki wafadari ho
hum ne ulfat mein kai khwab suhane dekhe

aankh se jari raha ashkon ka bahna kyunkar
gham ne thukraya to phir zakhm purane dekhe

zakhm par zakhm lagane ki na aadat thi use
mere qatil ne nae roz nishane dekhe

aap ka jurm nahin hum hi khata kar baithe
dil ne bas chaha tumhein gham ne thikane dekhe

hum pe ulfat ki hui aisi ataen 'baaligh'
jis taraf dhund liye gham ke khazane dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close