jab se dil shaida hua hai us but-e-be-pir ka baadshah main ban gaya hun ranj ki jagir ka dekh kar taswir apni ban gae taswir wo khub jhagda hoga ab taswir se taswir ka hai sar-e-baalin masiha aur malk-ul-maut bhi ab taqaza dekhna tadbir se taqdir ka khak-e-pa-e-dilruba lana tabibo dhund kar kaam mitti se liya jata hai ab iksir ka kis ko dhundun kaun ai 'asghar' padhe tahrir ko kuchh padha jata nahin likkha meri taqdir ka