jab se dilbar ka aastan dekha tha jo dushman wo meherban dekha jis ne us dar ki khaksari ki us gada ko shah-e-zaman dekha jab se dekha maqam-e-wahdat ko na doi ka kahin nishan dekha kya kahun ishq ka main lutf-o-karam dil mein dilbar ko be-guman dekha jis ko kahte hain surat-e-insan la-makan ka wahi makan dekha kya hain dilbar ke khwab naz-o-ada kahin zahir kahin nihan dekha