jalwa jab mujh ko dikhaya yar ne wahm hasti ka uthaya yar ne jam-e-wahdat jab kiya nazr-e-ata mast diwana banaya yar ne bol utha murda zaban se be-guman qum bi-izni jab sunaya yar ne husn-e-wahdat jalwa-gar hai ja-ba-ja la-makan mujh ko bataya yar ne kya ajab zahir kiya naz-o-ada ishq mein mujh ko phansaya yar ne jab khula uqda khafi asrar ka barsar-e-mahfil hansaya yar ne