jab se hai baad-e-KHizan sarsar-e-gham aawara

jab se hai baad-e-khizan sarsar-e-gham aawara
khushk patton ki tarah rahte hain hum aawara

kuchh to hai baat ki hai mausam-e-gul ke ba-wasf
bu-e-gul bu-e-saba bu-e-sanam aawara

kunj-dar-kunj sitam-khurda ghazalon ko abhi
ta-ba-kai rakkhegi ye lazzat-e-ram aawara

hajla-e-sang-e-sar-e-rah mein na jaane kitne
ru-numai ko hain betab sanam aawara

hai gham-e-zist ka ya soz-e-mohabbat ka sila
aariz-e-gul pe jo hai gauhar-e-nam aawara

rang-e-ariz ko tamazat se bachane ke liye
rukh pe lahraya hua abr-e-karam aawara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close