ki thi jis ko shakl-e-mahbubi ata sar usi patthar se zakhmi ho gaya har ghadi rahta tha aaina-ba-dast khud-satai ke siwa karta bhi kya ho gaya jab us ko idrak-e-jahan tod kar aaina us ne rakh diya wo hua hai pairahan ka yun asir khul ke ab hansna bhi mushkil ho gaya is se badh kar aur kya ho us ka wasf aadmi takhliq-o-takmil-e-khuda us ko bahar ki khabar kya bich mein khinch kar baitha hua hai daera hai yahan na-paid khatt-e-mustaqim zindagi hai pech-o-kham ka silsila