jab se hum rakhne lage hain kaam apne kaam se wo udhar aaram se hain hum idhar aaram se ye bhi kat jaegi jo thodi bahut baqi hai umr hum yahi karte rahenge kaam apne aam se is dar-e-insaf ke darban bhi hain munsif bahut hum junhi fariyaad se baz aae wo dushnam se aashiqi mein lutf to sara tajassus ki hai den kar diya aaghaz mein kyon aashna anjam se khak se banti hai jaise khisht hum kuchh is tarah dekh kya sona banate hain khayal-e-kham se is tarah mil jae shayad baryabi ka sharaf mashwara hai ab ke arzi bhej farzi nam se ya to wo taswir hai pesh-e-nazar ya kuchh nahin hath dho didon se 'basir' ye gae ab kaam se