jab se jaana hai gham-e-zist se hasil kya hai main yahi soch raha hun mutabaadil kya hai khwab aankhon mein basae to hui ye khwahish koi hum se bhi ye puchhe ki gham-e-dil kya hai log har qaid se aazad hue jate hain puchhiye kis se ki ab kar-e-salasil kya hai kis ko fursat hai kare hum ko jo zinda sabit bas yahi ek wakil apna hai qatil kya hai naqsh madum hue jate hain rafta rafta ai khuda aaj meri rah mein hail kya hai aaina-khane mein ye dekh raha hun 'rahat' mukhtalif kya hai yahan aur mutamassil kya hai