leta hun tera nam har ek nam se pahle kuchh zikr nahin karta hun us kaam se pahle manzil ki saubat kabhi aazar na hogi main nam tera leta hun har gam se pahle hai ishq ka aaghaz hi anjam ka hasil anjam nazar aata hai anjam se pahle main khud hi chala jaunga maikhane se uth kar saqi se jo lad jae nazar jam se pahle rindadan-e-bala-nosh ki hai baat hi kuchh aur mai pite nahin shaikh kabhi sham se pahle wahshat mein zamana mujhe badnam na karta ho jata rafu chaak jo ilzam se pahle kahte hain wahi aap jo kahta hai zamana kuchh aur bhi kah lijiye badnam se pahle ye un ki inayat se mera haal hua hai kuchh war ata karte hain inam se pahle kahta hun ghazal un ke tasawwur mein 'nazar' jab aalam hi ajab hota hai ilham se pahle