jab se khat hai siyah-khal ki thang tab se lutti hai hind chaaron dang baat amal ki chali hi jati hai hai magar auj-bin-unuq ki tang ban jo kuchh ban sake jawani mein raat to thodi hai bahut hai sang ishq ka shor koi chhupta hai nala-e-andalib hai gul-bang us zaqan mein bhi sabzi hai khat ki dekho jidhar kunen padi hai bhang kis tarah un se koi garm mile sim-tan pighle jate hain jon rang chali jati hai hasab qadr-e-buland dur tak us pahad ki hai dang tafra baatil tha tur par apne warna jate ye daud hum bhi phalang main ne kya us ghazal ko sahal kiya qafiye hi the us ke ut-patang 'mir' bandon se kaam kab nikla mangna hai jo kuchh khuda se mang