nahin hai zakhm koi bakhiye ke dar-khur mere tan mein hua hai tar-e-ashk-e-yas rishta chashm-e-sozan mein hui hai mane-e-zauq-e-tamasha khana-virani kaf-e-sailab baqi hai ba-rang-e-pumba rauzan mein wadiat-khana-e-bedad-e-kawish-ha-e-mizhgan hun nagin-e-nam-e-shahid hai mere har qatra-e-khun tan mein bayan kis se ho zulmat-gustari mere shabistan ki shab-e-mah ho jo rakh dun pamba diwaron ke rauzan mein nikohish mana-e-be-rabti-e-shor-e-junun aai hua hai khanda-e-ahbab bakhiya jeb-o-daman mein hue us mehr-wash ke jalwa-e-timsal ke aage par-afshan jauhar aaine mein misl-e-zarra rauzan mein na jaanun nek hun ya bad hun par sohbat-mukhalif hai jo gul hun to hun gulkhan mein jo khas hun to hun gulshan mein hazaron dil diye josh-e-junun-e-ishq ne mujh ko siyah ho kar suwaida ho gaya har qatra-e-khun tan mein 'asad' zindani-e-tasir-e-ulfat-ha-e-khuban hun kham-e-dast-e-nawazish ho gaya hai tauq gardan mein fuzun ki doston ne hirs-e-qatil zauq-e-kushtan mein hoe hain bakhiya-ha-e-zakhm jauhar tegh-e-dushman mein tamasha kardani hai lutf-e-zakhm-e-intizar ai dil suwaida dagh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan mein dil-o-din-o-khirad taraj-e-naz-e-jalwa-pairai hua hai jauhar-e-aina khel-e-mor khirman mein nikohish mane-e-diwangi-ha-e-junun aai lagaya khanda-e-naseh ne bakhiya jeb-o-daman mein