jab se ki buton se aashna hun begana khudai se hua hun kyun kar kahun aarif-e-khuda hun aagah nahin ki aap kya hun jab hijr mein bagh ko gaya hun main aatish-e-gul mein jal-bujha hun furqat mein jo sar patak raha hun mashghul-e-namaz-e-kibriya hun munh zard hai tinke chun raha hun ai wahshat kya main kahruba hun begana hun kyun kar aashna se beganon se main bhi aashna hun munh un ka nahin hai shukr warna har but kahta ki main khuda hun ummid-e-visal ab kahan hai us gul se ba-rang-e-bu juda hun kyun dost na khush hon jae matam simab ki tarah mar gaya hun khilqat khush ho jo main hun pamal gulzar-e-jahan mein kya hina hun hans dunga dam mein misl-e-gul aap ghunche ki tarah se go khafa hun aatish-qadami se jalte hain khar ai qais main wo barhana-pa hun karte hain gurez mujh se manhus be-shubah main saya-e-huma hun hun qafila-e-adam se aage is rah mein nala-e-dara hun 'nasikh' ki ye iltija hai yarab mar jaun to khak-e-karbala hun