jab se kisi ka dard hamare jigar mein hai hum ko sukun safar mein na aaram ghar mein hai shah-rag se bhi ziyaada khuda to qarib hai pahchan phir bhi teri na apni nazar mein hai dil se hisab leta hun har shab isi liye mahshar mein khauf khane ka manzar nazar mein hai khak-e-bashar ko khak mein milna zarur hai lekin baqa ka raaz fana ke safar mein hai duniya mein khair-o-shar ko samajhne ke waste kuchh to ishaara gardish-e-sham-o-sahar mein hai barson ke tajrabe se 'rawish' ye ayan hua sab kuchh khuda ka hai jo mizaj-e-bashar mein hai