safon ko jod koi ehtimam paida kar nazar ko tab de zarf-e-imam paida kar mujahidat mein apna maqam paida kar khamoshiyon se bhi husn-e-kalam paida kar charagh-pa na ho logon ki nukta-chini par dilon ko jit sake wo maqam paida kar abhi sada-e-talab se hai mai-kada khali ki daur-e-jam mein tasir jam paida kar guzar gae hain jo auqat un ka matam kya koi saliqe ka ab to nizam paida kar 'rawish' faza hai mukaddar munafarat ki jahan wahin ki khak se khushbu mudam paida kar