jab se maddham meri qismat ke sitare hue hain nafa ke nam pe bhi mujh ko khasare hue hain ek tum ho ki muqaddar ke sikandar thahre ek hum hain ki jo haalat ke mare hue hain bhul jate hain har ek dagh-e-jigar id ke din par wo lamhe jo tere sath guzare hue hain ek jhapki mein hi mumkin hai ki kankar ban jaen ye jo kuchh log teri aankh ke tare hue hain baat kuchh yun hai ki kuchh yaad nahin hai hum ko han magar raat ko rukhsat jo sitare hue hain ye sitare teri tashbih ke qabil nahin hain ye sitare to tere sar ke utare hue hain kya hamein bhi koi aaina bana sakta hai hum ne sahra mein kai sal guzare hue hain waqt mil jae to hum par bhi karam kar dena kab se daman teri chaukhat pe pasare hue hain