iklauti jagir ko takte takte thak kar so jate hain hum teri taswir ko takte takte thak kar so jate hain baithe baithe aazadi ke khwab sajate rahte hain phir pairon ki zanjir ko takte takte thak kar so jate hain kaghaz par pechida misron ki bhar-mar laga dete hain phir diwan-e-mir ko takte takte thak kar so jate hain apne tir kaman ke chhin jaane ka girya karne wale auron ki shamshir ko takte takte thak kar so jate hain daur-e-jadid hai sare ranjhe apne apne mobile par apni apni hir ko takte takte thak kar so jate hain din bhar sadkon par injiren bechne wale bhuke bachche raat gae injir ko takte takte thak kar so jate hain 'ghaalib' ki ghazlen padhte hain 'zauq' se shikwa karte hain 'sauda' aur 'dabir' ko takte takte thak kar so jate hain chhoti chhoti baaton par yun khun kharaba ho jata hai hum 'ehram' zamir ko takte takte thak kar so jate hain