jab se mere bagh mein angur ke dane lage mujh ko duniya mein hi jannat ke maze aane lage mai-kashon ne hi nahin dhunda mere ghar ka pata shaikh sahab bhi mujhe ab yaad farmane lage ek surur-o-kaif ka aalam hai tari bin piye pyale sade pani ke bhi mai ke paimane lage jagmaga utthe hain atraf-o-jawanib mein diye sham-e-mahfil ki pazirai mein parwane lage mah-rukhon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi aur tasawwur mein dhanak ke rang lahrane lage taeron ki chahchahahat se hua yun dil gudaz mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksane lage hum pe ek mashur-kun si kaifiyat tari hui aur hum is kaifiyat mein jhum kar gane lage is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab hum ko aksar din mein bhi tare nazar aane lage