apni majburi batata raha ro kar mujh ko wo mila bhi to kisi aur ka ho kar mujh ko main khuda to nahin jo us ko dikhai na diya dhundhta mera pujari kabhi kho kar mujh ko pa liya jis ne tah-e-ab bhi apna sahil mutmain tha mera tufan dubo kar mujh ko reg-e-sahil pe likhi waqt ki tahrir hun main mauj aae to chali jaegi dho kar mujh ko nind hi jaise koi kunj-e-aman hai ab to chain milta hai bahut der se so kar mujh ko fasl-e-gul ho to nikale mujhe is barzakh se bhul jae na tah-e-sang wo bo kar mujh ko