jab se pahchan mein nahin hun main

jab se pahchan mein nahin hun main
ghar ke dalan mein nahin hun main

hath se chiz chhut jati hai
apne ausan mein nahin hun main

phul kumhla gaya tha phenk diya
apne gul-dan mein nahin hun main

ek sajde mein ho chuki tahlil
shab ke wijdan mein nahin hun main

jism ko kaun ghar mein rakhta hai
jism hun jaan mein nahin hun main

main ne khud bhi bhula diya khud ko
ab kisi dhyan mein nahin hun main

khud hi maqtul khud hi qatil hun
apne tawan mein nahin hun main

aarzu se nikal ke dekh mujhe
ahd-o-paiman mein nahin hun main

zindagi ab ghadi ki tik-tik hai
dil ke asthan mein nahin hun main

jo zaruri tha wo sambhaala hai
apne saman mein nahin hun main

mujh ko wahshat qubul kar legi
ab gareban mein nahin hun main

zindagi se guzar rahi hun 'sahar'
kisi tufan mein nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close